Kumar Pashi

ho rahi thi guftugu aaj mumkinat par

Kumar Pashi

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1935-1992
ho rahī thī guftugū aaj mumkināt par
lā ke phuul rakh diyā us ne mere haat par
ham sadā nibhā.eñge chhoḌ kar na jā.eñge
aa ga.ī hameñ hañsī aaj un kī baat par
aap hī batā.iye ham se mat chhupā.iye
aap bhī to the miyāñ jā-e-vārdāt par
hijr kī shabeñ sabhī sub.heñ saarī dard kī
kitnā bojh rakh liyā ham ne apnī zaat par
sab nirās kyuuñ hue dil udaas kyuuñ hue
saare mil ke sochiye in muāmalāt par
koī kyā samajh sake un kī ahmiyat hai kyā
ġhaur kar rahā huuñ maiñ aaj jin nikāt par
Top Urdushayar.com