aayā basant phuul bhī sho.aloñ meñ Dhal ga.e
maiñ chūmne lagā to mire hoñT jal ga.e
lapkā mire ḳhayāl kā kauñdā kuchh is tarah
chāroñ taraf jo lafz paḌe the pighal ga.e
rañgoñ ke ehtimām meñ sūrat bigaḌ ga.ī
lafzoñ kī dhan meñ haath se ma.anī nikal ga.e
jhoñke na.ī rutoñ ke jo guzre qarīb se
biite dinoñ kī dhuul mire muñh pe mal ga.e
sar par hamāre dhuup kī chādar sī tan ga.ī
ghar se chale to shahr ke manzar badal ga.e