Kumar Pashi

hue hain band dishaon ke sare raste aa

Kumar Pashi

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1935-1992
hue haiñ band dishāoñ ke saare raste aa
añdherā chhāne lagā lauT kar parinde aa
maiñ terī saarī tamāzat ko jazb kar lūñgā
tū āftāb kabhī mere dil meñ bujhne aa
kabhī dikhā de vo manzar jo maiñ ne dekhe nahīñ
kabhī to niiñd meñ ai ḳhvāb ke farishte aa
yahāñ to kab se añdheroñ meñ ġharq hai duniyā
idhar jo aa to sitāroñ kī shaal oḌhe aa
na chupke chupke sulag jī ko apne halkā kar
tujhe ye kaun sā dukh hai kabhī batāne aa
baḌā sukūn milegā tujhe yahāñ aa kar
jo ho sake to kabhī mere dil meñ rahne aa
dahaktā sho.ala sā maiñ ek dasht huuñ 'pāshī'
agar ghaTā hai tū sāvan kī to barasne aa
Top Urdushayar.com