itnā bhī ai ḳhudā mujhe mash.hūr tū na kar
maiñ bhuul jā.ūñ tujh ko bhī maġhrūr tū na kar
maiñ tujh se dūriyoñ kī talabgār huuñ magar
ye iltijā bhī hai ki mujhe duur tū na kar
vo raushnī hī kyā jo basārat ko chhīn le
āñkhoñ ko ai ḳhudā mirī be-nūr tū na kar
duniyā ke sāmne kabhī phailā.ūñ apne haath
parvardigār itnā bhī majbūr tū na kar
tālib rahūñ maiñ ilm kī tā-umr tā-hayāt
dil meñ ye jo talab hai use duur tū na kar