ek kahānī ḳhatm huī hai ek kahānī baaqī hai
maiñ be-shak mismār huuñ lekin merā saanī baaqī hai
dasht-e-junūñ kī ḳhaak uḌāne vāloñ kī himmat dekho
TuuT chuke haiñ andar se lekin man-mānī baaqī hai
haath mire patvār bane haiñ aur lahreñ kashtī merī
zor havā kā qaa.em hai dariyā kī ravānī baaqī hai
gaahe gaahe ab bhī chale jaate haiñ ham us kūche meñ
zehn buzurgī oḌh chukā dil kī nādānī baaqī hai
kuchh ġhazleñ un zulfoñ par haiñ kuchh ġhazleñ un āñkhoñ par
jaane vaale dost kī ab ik yahī nishānī baaqī hai
na.ī na.ī āvāzeñ ubhrīñ 'pāshī' aur phir Duub ga.iiñ
shahr-e-suḳhan meñ lekin ik āvāz purānī baaqī hai