Kumar Pashi

isko kuchh to milta hai mujh pe zulm Dhane se

Kumar Pashi

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1935-1992
is ko kuchh to miltā hai mujh pe zulm Dhāne se
ba.az vo na aa.egā merā ghar jalāne se
gā rahī haiñ dīvāreñ raqs meñ hai āñgan bhī
kitnī raunaqeñ aa.iiñ tere luuT aane se
aa ki tere māthe par ab ise sajā duuñ maiñ
chāñd le ke aayā huuñ raat ke ḳhazāne se
vo bhī in dinoñ yaaro apnī chaal meñ gum hai
ham bhī kuchh nahīñ kahte aaj kal zamāne se
ham ne apnī āñkhoñ meñ ḳhvāb kuchh sajā.e haiñ
apnā bhī ta.alluq hai ziist ke gharāne se
vo hai be-nazar 'pāshī' us ko kyā ḳhabar 'pāshī'
kitne dil sulagte haiñ ik diyā bujhāne se
Top Urdushayar.com