Kumar Pashi

hai ta-hadd-e-nazar nila samundar

Kumar Pashi

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1935-1992
hai tā-hadd-e-nazar niilā samundar
badan meñ phaḌphaḌātā hai kabūtar
ab is kā naam tak baaqī nahīñ hai
vahī jo jī rahā thā mere andar
batā ai dil mire bujhte hue dil
ye kis aaseb kā saaya hai tujh par
ma.ānī kā hai bātin se ta.alluq
bahut kuchh kah ga.e chup chup se manzar
mirī dahlīz par chupke se 'pāshī'
ye kis ne rakh dī merī laash lā kar
Top Urdushayar.com