Kumar Pashi

chaal ek aisi chali har shaKHs sidha ho gaya

Kumar Pashi

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1935-1992
chaal ik aisī chalī har shaḳhs sīdhā ho gayā
baat bas itnī ki maiñ thoḌā sā tirchhā ho gayā
log bole ab nayā ho jā purānā-pan utaar
maiñ bhī kyā kartā sar-e-bāzār nañgā ho gayā
us janam meñ phir mujhe vaisī hī gumnāmī milī
ittifāq aisā ki phir us ghar meñ paidā ho gayā
TuuT kar taare gire kal shab marī dahlīz par
us kī bhī āñkheñ ga.iiñ aur maiñ bhī andhā ho gayā
chhe dinoñ tak shahar meñ ghūmā vo bachchoñ kī tarah
sātveñ din jab vo ghar pahuñchā to būḌhā ho gayā
do dinoñ meñ ham zarā kuchh aur lambe ho ga.e
qad hamāre dostoñ kā aur chhoTā ho gayā
chal diye duniyā se ham 'pāshī' sabhī kuchh tyaag kar
aur hamāre saath hī ik daur puurā ho gayā
Top Urdushayar.com