abhī purānī dīvāreñ mat Dhāne do
pahle mujh ko duniyā na.ī basāne do
oḌh liyā hai maiñ ne libādā shīshe kā
ab mujh ko kisī patthar se Takrāne do
paḌh ke haqā.eq kahīñ na andhā ho jā.ūñ
mujh ko ab ho sake to kuchh afsāne do
hai koī aisā jo duniyā se Takkar le
ham ko dekho ik ham haiñ dīvāne do
nahīñ chāhiye kuchh bhī ham durveshoñ ko
jis kā jo bhī kuchh hai use le jaane do
barsoñ se bichhḌā huā terā ġham 'pāshī'
aaj achānak milā hai gale lagāne do