Kumar Pashi

ghera Dale hue hai dushman bachne ke aasar kahan

Kumar Pashi

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1935-1992
gherā Daale hue hai dushman bachne ke āsār kahāñ
ḳhālī haath khaḌe ho 'pāshī' rakh aa.e talvār kahāñ
kyuuñ logoñ se mehr-o-vafā kī aas lagā.e baiThe ho
jhuuT ke is makrūh nagar meñ logoñ kā kirdār kahāñ
kyā hasrat se dekh rahe haiñ hameñ ye jagmag se sāhil
haa.e hamāre hāthoñ se bhī chhūTe haiñ patvār kahāñ
ḳhatm huā har ḳhvāb-e-tamāshā raakh huā har shahr-e-sadā
dasht hai har sū tanhā.ī kā hue haiñ ham bedār kahāñ
duur duur tak koī nahīñ ab tujhe bachā le jo aa kar
daad to de dushman ko 'pāshī'! kiyā hai us ne vaar kahāñ
Top Urdushayar.com