zamīn degā magar āsmān māñgegā
mire vajūd se vo sā.ebān māñgegā
maiñ chand pal jo use thoḌā aasrā de duuñ
phir umr-bhar ke liye kul jahān māñgegā
vo jāntā hai nishāna achūk hai merā
vo mujh se TuuTī huī bhī kamān māñgegā
har ek gaam pe tū ne kiyā hai qatl mirā
tū kitnī daf.a mirī aur jaan māñgegā
tirī zabān meñ tujh ko javāb duuñ maiñ agar
hisāb mujh se mirā ḳhāndān māñgegā
maiñ jāntī huuñ sar-e-bazm aa.egā vo aur
mirā javāb usī darmiyān māñgegā
agar vo jaan bhī māñge ḳhushī ḳhushī de duuñ
magar vo kuchh bhī kahāñ be-zabān māñgegā