kisī kī yādeñ mirī chashm-e-tar meñ rahtī haiñ
ye kashtiyāñ haiñ kuchh aisī bhañvar meñ rahtī haiñ
zamāna ho gayā nīndeñ nahīñ nasīb huiiñ
hamārī ḳhvāhisheñ zehnī safar meñ rahtī haiñ
kahīñ se pañkh mileñ aur āsmāñ chhū leñ
kuchh aisī hasrateñ har ik bashar meñ rahtī haiñ
ye sotī jāgtī rahtī haiñ us kī yādoñ meñ
hamārī āñḳheñ usī ke asar meñ rahtī haiñ
safar hayāt kā pur-lutf hai magar ai dost
musībateñ bhī usī rahguzar meñ rahtī haiñ
havā meñ tairtī phirtī haiñ kitnī afvāheñ
dikhā.ī detī nahīñ aur ḳhabar meñ rahtī haiñ