ramz-e-hayāt ālam-e-fānī meñ kho gayā
merā vajūd naql-e-makānī meñ kho gayā
kyā jaane kyā kashish thī tumhāre kalām meñ
jis ne sunā vo lafz-o-ma.ānī meñ kho gayā
jo duur tak nahīñ the vahī ab haiñ sāmne
kirdār merā us kī kahānī meñ kho gayā
dariyā se bhī kahīñ koī sailāb jab uThā
vo bhī in āñsuoñ kī ravānī meñ kho gayā
jo kuchh kahā nazar ne nazar se sune vo kaun
har shaḳhs guftugū-e-lisānī meñ kho gayā
duniyā-e-ilm-o-fan meñ jo hāsil thā kal use
saarā kamāl charb-zabānī meñ kho gayā
ehsās phir za.īfī meñ 'rahbar' huā unheñ
lutf-e-hayāt jin kā javānī meñ kho gayā