aise jazbāt meñ lahje ko na patthar kiije
guftugū mujh se zarā aap sambhal kar kiije
ye na ho aap kī tahrīr hī bāġhī ho jaa.e
zulm itnā bhī na qirtās-o-qalam par kiije
mujh se ranjish hai to maidān meñ aa jā.iye aap
merī tasvīr ke TukḌe na bahattar kiije
merā da.avā hai ki hālāt badal jā.eñge
sāmnā aap jo hālāt kā DaT kar kiije
chāhte aap haiñ jo zehn kushāda rakhnā
buġhz-o-nafrat ke ḳhayālāt ko bāhar kiije
dūsroñ par to karam aap kā rahtā hai magar
ik nazar merī bhī jānib mire dilbar kiije
baat bantī hai mohabbat se bhī aksar 'rahbar'
dil meñ paivast na alfāz ke nashtar kiije