dasht-e-taḳhaiyyulāt meñ jab bhī safar huā
jaane kahāñ kahāñ se hamārā guzar huā
logo kī talḳhiyoñ kā kuchh aisā asar huā
dil ke har ek goshe meñ raqs-e-sharar huā
us kī taraf se maiñ to huā be-ḳhabar magar
merī taraf se vo na kabhī be-ḳhabar huā
bigḌī hai aisī shakl havādis kī maar se
hairān aa.ina bhī mujhe dekh kar huā
ik baar hī to kāñdhe pe rakkhā thā us ne sar
phir aisā ittifāq kahāñ umr bhar huā
jis kī nazar meñ vus.at-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl thī
us kā vajūd markaz-e-ahl-e-nazar huā
pahle to ik makān kī sūrat hī thā faqat
tashrīf aap laa.e to ghar merā ghar huā
us ko hamārī dasht-navardī se hai ḳhushī
is se ġharaz nahīñ ki koī dar-ba-dar huā
sab kī samajh meñ aatā kahāñ hai ye ilm-o-fan
jis ne samajh liyā use vo dīda-var huā
'rahbar' tavīl umr bhī jiine se faiz kyā
kuchh maqsad-e-hayāt na puurā agar huā