ai ġhazal terī nazar jab se utārī ham ne
rakh diyā naam tirā rāj-kumārī ham ne
is liye ġham ko banā rakkhā hai apnā sāthī
tujh ko de dī hai ḳhushī saarī kī saarī ham ne
dil ke jazbāt zamāne ko batāne ke liye
sher-goī kā safar rakkhā hai jaarī ham ne
dard-e-furqat meñ na so pāoge ab chain se tum
niiñd āñkhoñ se churā lī hai tumhārī ham ne
jo kahā tujh se akele meñ kahā ai zālim
aabrū kab tirī mahfil meñ utārī ham ne
naqd hai ishq kā saudā ye huā jab ma.alūm
is meñ rakkhī hī nahīñ koī udhārī ham ne
haiñ kahāñ jin pe adab kā thā kabhī dār-o-madār
ab to stage pe dekhe haiñ madārī ham ne
ye haqīqat hai tumheñ koī nahīñ pūchhegā
kyā karoge jo kabhī toḌ dī yaarī ham ne
un se bichhḌe haiñ to phir niiñd na aa.ī 'rahbar'
taare gin gin ke har ik raat guzārī ham ne