Moid Rahbar

junun-e-ishq jise sar-phira bana dega

Moid Rahbar

Lucknow, Uttar pradesh, India

1985
junūn-e-ishq jise sar-phirā banā degā
pahāḌ kaaT ke vo rāsta banā degā
ḳhumār-e-husn salāmat rakhe ḳhudā us kā
jahāñ vo chāhe vahāñ mai-kadā banā degā
usī ke qabza-e-qudrat meñ haiñ sabhī ke dil
vo jis ko chāhe use pārsā banā degā
ghirā huā mujhe dekhegā jab nadāmat meñ
vo merī aah ko harf-e-duā banā degā
mirā zamīr hī ab merā rahnumā Thahrā
ye har maqām pe mujh ko baḌā banā degā
jo dekh legā tumheñ koī manchalā mausam
tumhārī zulf se kaalī ghaTā banā degā
tū dūsroñ se hai bartar na ye samajh 'rahbar'
ye e'tibār tujhe khokhlā banā degā
Top Urdushayar.com