tumhāre hoñT jin ke zikr kī garmī se jalte haiñ
hamāre jaise dīvāne unhīñ rāhoñ pe chalte haiñ
jinheñ qirtās par lā.ūñ to ik hañgāma ho jaa.e
shab-e-tanhā.ī meñ aksar kuchh aise sher Dhalte haiñ
batāo chain se kaise raheñ ham aisī vaadī meñ
jahāñ gulshan ke rakhvāle hī kaliyoñ ko masalte haiñ
tire aage na apnā sar jhukā.eñ to kahāñ jaa.eñ
ki ham roz-e-azal se hī tire TukḌoñ pe palte haiñ
machal jaatā hai dil vaise hī tum ko dekhne ke baad
khilaunā dekh kar jis tarah se bachche machalte haiñ
pahuñchtī hai maqām-e-intihā par bandagī jis dam
hamāre paañv kī Thokar se bhī chashme ubalte haiñ
tumhārī rahbarī qaa.em rahegī phir bhī ai 'rahbar'
nikal jaane do kuchh logoñ ko gar aage nikalte haiñ