apne maazī ko charāġhoñ meñ basar ham ne kiyā
kaT ga.ī raat to dīdār-e-sahar ham ne kiyā
sirf jañgeñ hī nahīñ jiitī haiñ haiñ is duniyā meñ
ma.arka ishq ke maidāñ kā bhī sar ham ne kiyā
dekhne vāloñ kī hairat kā Thikāna na rahā
ek patthar ko jo chamkā ke guhar ham ne kiyā
chāñd meñ aks nazar aayā hai terā jab se
husn vaale tujhe manzūr-e-nazar ham ne kiyā
kaun sach boltā hai zālim-o-jābir ke ḳhilāf
kaam duniyā meñ ye be-ḳhauf-o-ḳhatar ham ne kiyā
bhuul paanā use āsāñ to nahīñ thā yaaro
kaam ye thoḌā sā mushkil thā magar ham ne kiyā
tab kahīñ jā ke ġhazal rañg hai laa.ī 'rahbar'
sirf ash.ār meñ jab ḳhūn-e-jigar ham ne kiyā