jo tamām umr ban kar mirā hausla rahī hai
vahī aaj merī ġhairat mujhe aazmā rahī hai
mirī fikr jaane mujh ko kahāñ le ke jā rahī hai
ki qadam qadam pe manzil sar-e-rāh aa rahī hai
nahīñ chhoḌtī hai mujh ko kisī moḌ par ye duniyā
maiñ ise rulā rahā huuñ ye mujhe rulā rahī hai
tū ye jāntā hai phir bhī nahīñ fikr āḳhirat kī
tirī maut rafta rafta tire paas aa rahī hai
jo ab aa ga.e ho tum to mujhe chhoḌ kar na jaanā
ki tumhāre bin ye hastī baḌī be-maza rahī hai
mirī zindagī ke mālik maiñ ye tujh se pūchhtā huuñ
mujhe kyoñ jahāñ meñ bhejā mirī kyā ḳhatā rahī hai
ye na ho ki vaqt-e-āḳhir rahe dil kī baat dil meñ
mirī jaan ab to aa jā mirī jaan jā rahī hai
jo tumheñ milā hai mansab use dā.imī na samjho
kisī ek kī hukūmat yahāñ kab sadā rahī hai
mujhe ab ye lag rahā hai vo ḳhizāñ thī Thiik 'rahbar'
ye bahār kaise kaise na.e gul khilā rahī hai