Moid Rahbar

zindagi jine ka yun humne sahaara kar liya

Moid Rahbar

Lucknow, Uttar pradesh, India

1985
zindagī jiine kā yuuñ ham ne sahārā kar liyā
un kā har tīr-e-sitam hañs kar gavārā kar liyā
zehn meñ mahfūz haiñ jalve abhī us shoḳh ke
dil pareshāñ jab huā un kā nazāra kar liyā
dostoñ meñ koī bhī merā nahīñ thā ham-ḳhayāl
is liye ahbāb se maiñ ne kināra kar liyā
ek patthar dil se Takrā.e to ye lagne lagā
ham ne ḳhud apne jigar ko pāra-pāra kar liyā
dekhne vaale bahut the koī samjhā hī nahīñ
āñkhoñ hī āñkhoñ meñ us ne khel saarā kar liyā
jo muqaddar meñ nahīñ thā us ko paane ke liye
is qadar uljhe ke ḳhud apnā ḳhasāra kar liyā
ham faqīroñ ko nahīñ kuchh tar-nivāloñ se ġharaz
rūkhī sūkhī khā ke bhī apnā guzāra kar liyā
us ne taqrīroñ se apnī nafrateñ phailā.īñ thiiñ
shā.irī se ham ne qaa.em bhā.ī-chāra kar liyā
zindagī bhar saath ab us kā nibhānā hai tumheñ
jis ne apne naam 'rahbar' ġham tumhārā kar liyā
Top Urdushayar.com