kyā batlā.eñ yaad nahīñ kab ishq ke ham bīmār hue
aisā lage hai arsa guzrā ham ko ye āzār hue
aap kā shikva aap se karnā jū-e-shīr kā laanā hai
aap ke sāmne bolūñ kaise aap mirī sarkār hue
tiir kī tarah kirneñ barsīñ sub.h nikalte sūraj kī
lahūluhān thā saarā chehra niiñd se jab bedār hue
adl kī to zanjīr hilāne ham bhī ga.e darvāze tak
haath magar zanjīr na aa.ī ma.atūb-e-darbār hue
jo bhī zaḳhm liye the dil par ham ne un kī chāhat meñ
un se kah denā vo saare zaḳhm gul-o-gulzār hue
'mīr' kā to ahvāl paḌhā hai kyā 'nusrat' tum bhuul ga.e
ye nagrī hai ishq kī nagrī kyā kyā sayyad ḳhvār hue