Khaleel Tanveer

ruswa hue zalil hue dar-ba-dar hue

Khaleel Tanveer

Udaipur, Rajasthan, India

1944
rusvā hue zalīl hue dar-ba-dar hue
haq baat lab pe aa.ī to ham be-hunar hue
kal tak jahāñ meñ jin ko koī pūchhtā na thā
is shahr-e-be-charāġh meñ vo mo'tabar hue
baḌhne lagī haiñ aur zamānoñ kī dūriyāñ
yuuñ fāsle to aaj bahut muḳhtasar hue
dil ke makāñ se ḳhauf ke saa.e na chhaT sake
raste to duur duur talak be-ḳhatar hue
ab ke safar meñ dard ke pahlū ajiib haiñ
jo log ham-ḳhayāl na the ham-safar hue
badlā jo rañg vaqt ne manzar badal ga.e
āhan-misāl log bhī zer-o-zabar hue
Top Urdushayar.com