jo apnā ġham hai use ā.īna dikhā.ūñ maiñ
bas ek qatre meñ dariyā sameT lā.ūñ maiñ
tirī nigāh to ḳhush-manzarī pe rahtī hai
terī pasand ke manzar kahāñ se lā.ūñ maiñ
jo dil kī hasrat-e-tāmīr hai so itnī hai
ki ho sake to kisī dil meñ ghar banā.ūñ maiñ
maiñ jāntā huuñ añdheroñ kī zindagī kyā hai
bujhe charāġh to dil kā diyā jalā.ūñ maiñ
jo zaḳhm detā hai to be-asar hī detā hai
ḳhalish vo de ki jise bhuul bhī na pā.ūñ maiñ