parā.ī aag meñ jalne kī aarzū hai vahī
badal gayā hai magar vahshatoñ kī ḳhū hai vahī
vo shahr chhoḌ ke muddat huī chalā bhī gayā
had-e-ufuq pe magar chāñd rū-ba-rū hai vahī
zamāna laakh sitāroñ ko chhū ke aa jaa.e
abhī diloñ ko magar hājat-e-rafū hai vahī
qarīb thā to sabhī us se be-ḳhabar the magar
chalā gayā hai to mauzū-e-guftugū hai vahī