safar ke saath safar kī kahāniyāñ hoñgī
har ek moḌ pe jādū-bayāniyāñ hoñgī
ġharīb-e-shahr suḳhan-āshnā ko tarseñge
ham ahl-e-ġham ke liye ġham kī vādiyāñ hoñgī
tamām rāsta kāñToñ bharā hai soch bhī le
qadam qadam pe yahāñ bad-gumāniyāñ hoñgī
bane banā.e hue rāstoñ ko DhūñDeñge
vo jin ke saath meñ murda nishāniyāñ hoñgī
ragoñ se dard kā rishta bhī chhūT jā.egā
phir is ke ba.ad sulagtī ḳhamoshiyāñ hoñgī