Khaleel Tanveer

auron ki burai ko na dekhun wo nazar de

Khaleel Tanveer

Udaipur, Rajasthan, India

1944
auroñ kī burā.ī ko na dekhūñ vo nazar de
haañ apnī burā.ī ko parakhne kā hunar de
vo log jo sūraj ke ujāle meñ chale the
kis raah meñ gum ho ga.e kuchh un kī ḳhabar de
ik umr se jalte hue sahrāoñ meñ gum huuñ
kuchh der Thahar jā.ūñgā dāmān-e-shajar de
ik ḳhauf sā taarī hai gharoñ se nahīñ nikle
tarsī huī ā.ankhoñ ko sarāboñ kā safar de
sab apne charāġhoñ ko bujhā.e hue chup haiñ
ik aag sī siine meñ lagā de vo sharar de
Top Urdushayar.com