Khaleel Tanveer

siyah-KHana-e-dil par nazar bhi karta hai

Khaleel Tanveer

Udaipur, Rajasthan, India

1944
siyāh-ḳhāna-e-dil par nazar bhī kartā hai
merī ḳhatāoñ ko vo darguzar bhī kartā hai
parind ūñchī uḌānoñ kī dhun meñ rahtā hai
magar zamīñ kī hadoñ meñ basar bhī kartā hai
tamām umr ke dariyā ko moḌ detā hai
vo ek harf jo dil par asar bhī kartā hai
vo log jin kī zamāna hañsī uḌātā hai
ik umr ba.ad unheñ mo'tabar bhī kartā hai
jalā ke dasht-e-talab meñ ummīd kī sham.eñ
aziyyatoñ se hameñ be-ḳhabar bhī kartā hai
Top Urdushayar.com