Khaleel Tanveer

dur tak ek syahi ka bhanwar aaega

Khaleel Tanveer

Udaipur, Rajasthan, India

1944
duur tak ek syāhī kā bhañvar aa.egā
ḳhud meñ utroge to aisā bhī safar aa.egā
aañkh jo dekhegī dil us ko nahīñ mānegā
dil jo dekhegā vo ā.ankhoñ meñ ubhar aa.egā
apne ehsās kā manzar hī badal jā.egā
aañkh jhapkegī to kuchh aur nazar aa.egā
aur chalnā hai to be-ḳhauf-o-ḳhatar niklo bhī
na kisī abr kā saaya na shajar aa.egā
ḳhatm ho jā.egī jab jashn-e-mulāqāt kī raat
yaad bujhte hue ḳhvāboñ kā nagar aa.egā
Top Urdushayar.com