sho.aloñ ke darmiyāñ bhī nahīñ thā mujhe hirās
aur is ke ba.ad kyā huā bas kījiye qayās
apnā sunahrī saal aur apne rū-pahle baal
ya.anī ki ho ga.ī hai mirī umr ab pachās
apne lahū kī garmī hī sab kuchh hai dosto
ab jis ke ba.ad kuchh bhī nahīñ uun yā kapās
itnī bahut sī bātoñ se vo ḳhush na ho sakā
itnī zarā sī baat se vo ho gayā udaas
lai dūsrī bhī chheḌ magar thoḌī der ba.ad
maiñ jam.a kartā huuñ abhī kho.e hue havās
us ik hasīn jism ko dekhā to yuuñ lagā
pahnā thā jaise tāj-mahal ne bhī ik libās