bhīgī palkeñ shauq kā aalam vaqt kā dhārā kyā nahīñ dekhā
hañste aañsū talḳh tabassum mīThā ġhussa kyā nahīñ dekhā
chhalnī siine raushan chehre ḳhūnīñ āñkheñ rañgīñ dāman
ThanDī aaheñ vīrāñ nazreñ hashr-e-tamannā kyā nahīñ dekhā
raah pe pahre nutq pe qadġhan shauq kī yūrish dil kī dhaḌkan
boltī nazreñ bojhal palkeñ ġhamgīñ chehra kyā nahīñ dekhā
sotī qismat jāgte insāñ ujḌī bastī sham-e-farozāñ
jhūTe qisse ulTī tohmat baat kā banñā kyā nahīñ dekhā
bikhrī zulfeñ uljhī bāteñ aañkh meñ shoḳhī lab pe tabassum
khaltī kaliyāñ jhūmtī Daalī hashr sarāpā kyā nahīñ dekhā
bazm-e-charāġhāñ jhūTī ḳhushiyāñ naḳhvat-e-sāqī tishna-dahānī
gardish-e-sāġhar ālam-e-mastī tundī-e-sabā kyā nahīñ dekhā
phuul sī bāheñ larzāñ siina saañs ulajhte bholī bāteñ
nīchī nazreñ pahlī laġhzish dil kā taqāzā kyā nahīñ dekhā
'yāvar' ham ko pā na sakoge jaise ab haiñ aise kab the
dil kī nazākat jurm-e-mohabbat kufr-e-tamannā kyā nahīñ dekhā
aaj bhī 'yāvar' hañste hañste aañkh meñ aañsū aa jaate haiñ
dard kī maujeñ ḳhuun kī lahreñ aag kā dariyā kyā nahīñ dekhā