Yawar Abbas

kuchh log jo naKHwat se mujhe ghur rahe hain

Yawar Abbas

kuchh log jo naḳhvat se mujhe ghuur rahe haiñ
māhaul se shāyad ye bahut duur rahe haiñ
kyā kahiye ki kyā ho gayā is shahr kā aalam
jis shahr meñ ulfat ke bhī dastūr rahe haiñ
majbūr kise kahte haiñ ye kaun batā.e
pūchhe koī un se ki jo majbūr rahe haiñ
kuchh log sar-e-dār rahe hoñ to rahe hoñ
ham haiñ ki bahar-taur sar-e-tūr rahe haiñ
hañste hue chehroñ pe na jā sīnoñ meñ un ke
hālāt ke Takrāv se nāsūr rahe haiñ
ai shaiḳh ġhanīmat hai agar ham ko samajh lo
ham mansab-e-tasdīq pe māmūr rahe haiñ
ik tum ki ḳhudā.ī ke bhī da.ave rahe tum ko
ik ham ki is iqrār se ma.azūr rahe haiñ
sukkān-e-haram kyā haiñ ye mujh se koī pūchhe
allāh ke ghar meñ bhī ye maġhrūr rahe haiñ
ehsān baḌā bojh hai is ḳhauf se 'yāvar'
dīvār ke saa.e se bhī ham duur rahe haiñ
Top Urdushayar.com