Yawar Abbas

sahne ko to sah jaen gham-e-kaun-o-makan tak

Yawar Abbas

sahne ko to sah jaa.eñ ġham-e-kaun-o-makāñ tak
ai ḳhāliq-e-har-dard magar phir bhī kahāñ tak
pahuñche na kahīñ dīda-e-ḳhūñ-nāba-fashāñ tak
vo harf-e-shikāyat nahīñ aayā jo zabāñ tak
ye merī nigāhoñ ke banā.e hue manzar
kambaḳht vahīñ tak haiñ nazar jaa.e jahāñ tak
ik rasm-e-vafā thī vo zamāne ne uThā dī
ik zahmat-e-be-kār thī uThtī bhī kahāñ tak
tum muatamid-e-rāz the kis tarah se pahuñchī
hairat hai mirī baat zamāne kī zabāñ tak
chhūTe jo qafas se to vahī qaid-e-chaman thī
āzād yahāñ tak the giraftār yahāñ tak
tasvīr-e-ruḳh-e-yār khiñchī jaatī hai 'yāvar'
miltī hai fareb-e-ġham-e-daurāñ se kahāñ tak
Top Urdushayar.com