abhī tak aañkh se lipTe hue haiñ
vo hañgāme jo an-dekhe hue haiñ
tumhāre hosh to sālim haiñ lekin
hamāre baal to bikhre hue haiñ
safar kā vaqt raushan ho rahā hai
badan pe rāste ubhre hue haiñ
bahādur is tajassus meñ haiñ ġhaltāñ
hamāre sar kahāñ rakkhe hue haiñ
charāġho kis se itnā Dar rahe ho
havā ke daañt to TuuTe hue haiñ