Farogh Hyderabadi

machalti hai mere sine mein teri aarzu kya kya

Farogh Hyderabadi

Hyderabad, Telangana, India

-1929
machaltī hai mire siine meñ terī aarzū kyā kyā
liye phirtī hai terī chaah mujh ko kū-ba-kū kyā kyā
rahī hai ba.ad-e-murdan bhī tumhārī justujū kyā kyā
ġhubār-e-ḳhāk-e-marqad uḌ rahā hai chār-sū kyā kyā
kabhī āshiq ko samjhāyā kabhī ġhairoñ ko bahlāyā
fareb-āmez haiñ chāleñ tirī o hīla-jū kyā kyā
rihā.ī dī mujhe qaid-e-alā.iq se ināyat kī
kisī kī teġh kā mamnūn hai merā gulū kyā kyā
bahāreñ lūTtā huuñ aap ke tashrīf laane meñ
phalā-phūlā hai merā aaj naḳhl-e-ārzū kyā kyā
tumheñ bhī yaad haiñ kuchh qaul-o-iqrār-o-qasam apne
huī thī darmiyāñ mere tumhāre guftugū kyā kyā
ḳhayāl-e-hijr se hālat taġhayyur hotī jaatī hai
uḌā jaatā hai mere dil se rañg-e-ārzū kyā kyā
tumhāre vāste sun lete haiñ har ek kī bāteñ
hameñ kah jaate haiñ bātoñ hī bātoñ meñ adū kyā kyā
adū kī minnateñ kī haiñ qadam chūme haiñ darbāñ ke
'faroġh' be-sar-o-sāmāñ huā be-ābrū kyā kyā
Top Urdushayar.com