Farogh Hyderabadi

dil nahin milne ka phir mera sitamgar TuT kar

Farogh Hyderabadi

Hyderabad, Telangana, India

-1929
dil nahīñ milne kā phir merā sitamgar TuuT kar
chiiz ye aisī nahīñ juḌ jā.egī jo phuuT kar
aaj hai dil meñ mire kal hai adū kī aañkh meñ
tujh meñ bhar dī hai ye aisī kis ne shoḳhī kuuT kar
apne begānoñ kī nazreñ paḌ rahī haiñ aap par
vaah kyā nām-e-ḳhudā niklī javānī phuuT kar
us kā dushman se ta.alluq us kā dushman se milāp
sun rahā huuñ āj-kal jo kuchh ilāhī chhūT kar
ab kahāñ nazzāra-e-gul ab kahāñ lutf-e-chaman
ek aafat meñ paḌe haiñ ham qafas se chhūT kar
be-ḳhabar sotā hai koī sej par ārām se
hichkiyāñ le le ke koī ro rahā hai phuuT kar
dil na pighle aur kis kā dil mirā dil haif hai
nāznīñ phir nāznīñ tujh sā jo ro.e phuuT kar
ye na mānegā na samjhā.e se samjhegā kabhī
tujh pe dil aayā hai merā ai sitamgar TuuT kar
yās-o-ġham rañj-o-alam ne kar liyā hai dil meñ ghar
ai ḳhushī-e-vasl-e-jānāñ aa.e din bhī phuuT kar
uf re zauq-e-justujū allāh re shauq-e-kū-e-dost
gard-e-rah pīchhe rahī jaatī hai mujh se chhūT kar
ḳhaak uḌtī hai dil-e-vīrāñ meñ ab rakkhā hai kyā
yaas sab kuchh le ga.ī armān-o-hasrat luuT kar
kyuuñ satātā hai 'faroġh'-e-mubtalā ko is qadar
dil nahīñ juḌtā nahīñ juḌtā sitamgar TuuT kar
Top Urdushayar.com