arsh se ruḳh jānib-e-duniyā-e-dūñ karnā paḌā
bandagī meñ kyā se kyā ye sar nigūñ karnā paḌā
minnat-e-sāhil bhī sar le lī bhañvar meñ Dolte
haañ ye hiila bhī hameñ bahr-e-sukūñ karnā paḌā
sāmne us yaar ke bhī aur sar-e-darbār bhī
ek ye dil thā jise har baar ḳhuuñ karnā paḌā
ham ki the ahl-e-safā ye raaz kis par kholte
qāfile kā saath āḳhir tark kyuuñ karnā paḌā
ḳham na ho paayā to sar ham ne qalam karvā liyā
vuuñ na kuchh 'mājid' huā ham se to yuuñ karnā paḌā