jazboñ ko zabān de rahā huuñ
maiñ vaqt ko daan de rahā huuñ
mausam ne shajar pe likh diyā kyā
har harf pe jaan de rahā huuñ
yuuñ hai nam-e-ḳhāk ban ke jaise
fasloñ ko uThān de rahā huuñ
jo jo bhī ḳhamīda-sar haiñ un ke
hāthoñ meñ kamān de rahā huuñ
kaisī had-e-jabr hai ye jis par
be-vaqt azaan de rahā huuñ
auqāt mirī yahī hai 'mājid'
haarī huī lagān de rahā huuñ