Majid Siddiqui

KHas-o-KHashak bhi kab ke hain bhanwar se nikle

Majid Siddiqui

ḳhas-o-ḳhāshāk bhī kab ke haiñ bhañvar se nikle
ik hamīñ haiñ ki nahīñ narġha-e-shar se nikle
zaḳhm vo khul bhī to saktā hai silāyā hai jise
ham bhalā kab haiñ had-e-ḳhauf-o-ḳhatar se nikle
ye safar apnā kahīñ jānib-e-mahshar hī na ho
ham liye kis kā janāza haiñ ye ghar se nikle
kal jo Tapke the sar-e-kūcha-e-kotah-nazrāñ
ashk ab ke bhī vahī dīda-e-tar se nikle
aks kuchh apnā hī ā.īna-e-hālāt meñ thā
saTpaTā.e hue jab dām-e-safar se nikle
kaun kah saktā hai 'mājid' ki ba-īñ kam-nigahī
hashr kyā sā.at-e-ā.inda ke dar se nikle
Top Urdushayar.com