Mumtaz Athar

tum se jab bichhDe to kitne rabte rakkhe gae

Mumtaz Athar

1953
tum se jab bichhḌe to kitne rābte rakkhe ga.e
āhaToñ par kaan palkoñ par diye rakkhe ga.e
kashtī-e-jāñ dard kī lahroñ meñ sargardāñ rahī
dhaḌkanoñ ke saath an-miT vasvase rakkhe ga.e
apnī ḳhātir ḳhvāb vo rakkhe jo be-ta.abīr the
jāgte lamhe tumhāre vāste rakkhe ga.e
aks rakhtā thā na apnī zaat meñ apnā koī
kitne chehre ā.īnoñ ke sāmne rakkhe ga.e
kyā masāfat kī thakan se āshnā.ī kā fareb
lauT aane ke liye jab rāste rakkhe ga.e
us kī āñkhoñ ko diye manzar sitāroñ ke magar
merī bīnā.ī kī ḳhātir aable rakkhe ga.e
kyā ḳhabar thī ek jhoñkā le aḌegā āshiyāñ
joḌ kar tinke to 'at.har' aas ke rakkhe ga.e
Top Urdushayar.com