kahīñ bhī shahr meñ kunj-e-amāñ nahīñ miltā
ki aaj rābta-e-jism-o-jāñ nahīñ miltā
ye sochtā huuñ kahāñ se ho ibtidā, āḳhir
ki harf koī pas-e-dāstāñ nahīñ miltā
samay kī lahr meñ ġharqāb ho rahā huuñ maiñ
kahīñ pe naav kahīñ bādbāñ nahīñ miltā
tamām umr kī lā-hāsilī azaab huī
vo mil gayā hai to apnā nishāñ nahīñ miltā
batā rahī hai bagūloñ kī ham-rahī mujh ko
pas-e-ġhubār koī kārvāñ nahīñ miltā
mire ḳhilāf shahādat hai mo'tabar sab kī
magar kisī se kisī kā bayāñ nahīñ miltā
ye kaisī sā.ateñ sar par haiñ āj-kal 'at.har'
zamīñ milī hai to ab āsmāñ nahīñ miltā