Mumtaz Athar

mujhe shakl de ke tamam kar kaf-e-kuza-gar

Mumtaz Athar

1953
mujhe shakl de ke tamām kar kaf-e-kūza-gar
kabhī kū-ba-kū mujhe aam kar kaf-e-kūza-gar
kisī sub.h mujh ko vajūd de mire rū-ba-rū
kisī shaam mujh se kalām kar kaf-e-kūza-gar
mujhe aañch de kisī dopahar ke farāġh meñ
kisī raat mujh meñ qayām kar kaf-e-kūza-gar
mujhe chhū ke lams-shanās kar kisī sah-pahar
mirī ruuh tak meñ ḳhirām kar kaf-e-kūza-gar
kabhī puurā din isī ḳhaak par mire saath rah
isī kunj meñ koī shaam kar kaf-e-kūza-gar
kabhī shab Dhale koī shakl merī ḳhabar ko de
ġham-e-be-jahat ko maqām kar kaf-e-kūza-gar
maiñ jo ek zarra-e-reg huuñ tah-e-reg huuñ
kabhī mujh ko mahr-e-tamām kar kaf-e-kūza-gar
mujhe dā.eroñ ke hujūm meñ kahīñ bhej de
mirī vus.atoñ ko davām kar kaf-e-kūza-gar
kabhī le ke aa mirī ḳhaak nīl-o-furāt se
koī vāqi.a mire naam kar kaf-e-kūza-gar
Top Urdushayar.com