Zulfiqar Ahmad Tabish

katata hun raat-bhar apne lahu ki dhaar ko

Zulfiqar Ahmad Tabish

kātatā huuñ rāt-bhar apne lahū kī dhaar ko
khīñchtā huuñ is tarah inkār se iqrār ko
be-qarārī kuchh to ho vaj.h-e-tasallī ke liye
bhīñch kar rakhtā huuñ siine se firāq-e-yār ko
apnī gustāḳhī pe nādim huuñ magar kyā ḳhuub hai
dhuup kī dīvār par likhnā shabīh-e-yār ko
aise kaTtā hai jigar aise lahū hotā hai dil
kaise kaise āzmātā huuñ nafas kī dhaar ko
nāchtā hai mere nabzoñ meñ ḳharosh-e-ḳhūñ ke saath
dhaḌkaneñ gintī haiñ us ke paañv kī raftār ko
reza reza chun rahā huuñ jism-o-jāñ kī sā.ateñ
Dhā rahā hai koī merī umr kī dīvār ko
ek saa.at kī judā.ī bhī nahīñ mujh ko qubūl
saath rakhtā huuñ sadā yād-e-firāq-e-yār ko
Top Urdushayar.com