Zulfiqar Ahmad Tabish

in labon se ab hamare lafz ruKHsat chahte hain

Zulfiqar Ahmad Tabish

in laboñ se ab hamāre lafz ruḳhsat chāhte haiñ
jāgtī āñkhoñ meñ ḳhvāboñ kī salāmat chāhte haiñ
naqsh kī sūrat likhī āvāz ko de do rihā.ī
be-takallum lafz bhī ab to ibārat chāhte haiñ
aisī yaḳh-basta ḳhamoshī meñ na phir zinda bacheñge
mere ThiThure hoñT lafzoñ kī harārat chāhte haiñ
mere hāthoñ par likhī tahrīr mujh se kah rahī thī
aane vaale vaqt lafzoñ kī shahādat chāhte haiñ
ye dar-o-dīvār par be-nām se chup-chāp saa.e
phūloñ rastoñ aur bachchoñ kī hifāzat chāhte haiñ
hijr ke mausam meñ yaad aatī hai ḳhushbū dostoñ kī
ham udāsī meñ bhī yāroñ kī rifāqat chāhte haiñ
Top Urdushayar.com