ham ne saare harf likhe to kis ke liye
likhne ke sau Dhañg chune to kis ke liye
kis kī khoj meñ ham ne dasht-o-jabal dekhe
bastī bastī ham jo phire to kis ke liye
pātāloñ meñ kis ke rahe ham mutalāshī
tā hadd-e-aflāk uḌe to kis ke liye
kis kī yaad meñ umroñ sar-ba-sujūd rahe
hoñToñ par aurād likhe to kis ke liye
kis kā chehra DhūñDā dhuup aur chhāñv meñ
aur ḳhvāboñ meñ rañg bhare to kis ke liye