hamāre shahr meñ aane kī sūrat chāhtī haiñ
havā.eñ bāryābī kī ijāzat chāhtī haiñ
parindoñ se dar-o-dīvār ḳhālī ho ga.e haiñ
mirī āñkheñ nagar ko ḳhūbsūrat chāhtī haiñ
likhe bhī jaao lauh-e-ḳhāk par naqsh-e-udāsī
ki aatī sā.ateñ harf-e-shahādat chāhtī haiñ
diloñ meñ qaid nā-āsūda saarī iltijā.eñ
hisār-e-harf meñ aane kī mohlat chāhtī haiñ
zabānoñ par likhī zaḳhm-e-zabāñ kī lazzateñ ab
dar-o-dīvār par rañg-e-jarāhat chāhtī haiñ
bahut se ḳhvāb in meñ dhund ban kar rah ga.e haiñ
ye āñkheñ izn-e-girya kī sa.ādat chāhtī haiñ