Zulfiqar Ahmad Tabish

ye shor-o-shar to pahle din se aadam-zad mein hai

Zulfiqar Ahmad Tabish

ye shor-o-shar to pahle din se ādam-zād meñ hai
ḳharābī kuchh na kuchh to is kī ḳhaak o baad meñ hai
pahuñch kar us jagah ik chup sī lag jaatī hai mujh ko
maqām ik is tarah kā bhī mirī rūdād meñ hai
ajab ik be-kalī sī mere jism-o-jān meñ hai
sifat sīmāb kī mujh paikar-e-azdād meñ hai
ye shīsha-ghar abhī tak arsa-e-takmīl meñ hai
ye ḳhvāb-e-ḳhūbsūrat mo.ariz-e-ījād meñ hai
maiñ jitnā uTh rahā huuñ aur jhuktā jā rahā huuñ
kajī dar-asl avval se mirī buniyād meñ hai
zamāna yuuñ nahīñ jaise dikhā.ī de rahā hai
ḳharābī koī māh-o-sāl kī ta.adād meñ hai
tarīq-e-ishq meñ koī ḳharābī aa ga.ī hai
koī bad-sūratī is tarz-e-nau-ījād meñ hai
ye naqsh-e-ḳhushnumā dar-asl naqsh-e-ājizī hai
ki asl-e-husn to andesha-e-bahzād meñ hai
yahāñ jo aa gayā ik baar phir jaatā nahīñ hai
kashish aisī kuchh is shahr-e-sitam-ījād meñ hai
vo jo kahte rahe us kī gavāhī mil rahī hai
ye saarī guftugū un raftagāñ kī yaad meñ hai
ye jitnā hai kahīñ us se ziyāda bhed meñ hai
tilism is dahr kā poshīda haft-ib.ād meñ hai
Top Urdushayar.com