yahī nahīñ koī tūfāñ mirī talāsh meñ hai
ki mausam-e-ġham-e-jānāñ mirī talāsh meñ hai
visāl-rut hai magar dil ko aisā lagtā hai
sitāra-e-shab-e-hijrāñ mirī talāsh meñ hai
maiñ faisle kī ghaḌī se guzar chukī huuñ magar
kisī kā dīda-e-hairāñ mirī talāsh meñ hai
ye be-yaqīn sī āsūdgī batātī hai
ki ek qarya-e-vīrāñ mirī talāsh meñ hai
maiñ tīrgī meñ mohabbat kī ik kahānī huuñ
muuī charāġh sā unvāñ mirī talāsh meñ hai
ye kaisā ḳhvāb thā dhaḌkā sā lag gayā dil ko
ki ek shaḳhs pareshāñ mirī talāsh meñ hai