Noshi Gilani

hamare darmiyan ahd-e-shab-e-mahtab zinda hai

Noshi Gilani

Pakistan

1964
hamāre darmiyāñ ahd-e-shab-e-mahtāb zinda hai
havā chupke se kahtī hai abhī ik ḳhvāb zinda hai
ye kis kī narm ḳhushbū hai mirī shab kī havelī meñ
ye kaisā raqs-e-mastī ai dil-e-betāb zinda hai
kahāñ vo sāñvlī shāmeñ kahāñ vo reshmī bāteñ
magar ik lams-e-hairāñ kā abhī zarnāb zinda hai
abhī tak pāniyoñ meñ surma.ī saa.e utarte haiñ
abhī tak dhaḌkanoñ meñ dard kī mizrāb zinda hai
sirāt-e-ishq hai aur hijr kī tanhā masāfat hai
vahī hai tishnagī phir bhī fareb-e-āb zinda hai
Top Urdushayar.com