Noshi Gilani

ye nam mumkin nahin rahega maqam mumkin nahin rahega

Noshi Gilani

Pakistan

1964
ye naam mumkin nahīñ rahegā maqām mumkin nahīñ rahegā
ġhurūr lahje meñ aa gayā to kalām mumkin nahīñ rahegā
ye barf-mausam jo shahr-e-jāñ meñ kuchh aur lamhe Thahar gayā to
lahū kā dil kī kisī galī meñ qayām mumkin nahīñ rahegā
tum apnī sāñsoñ se merī sāñseñ alag to karne lage ho lekin
jo kaam āsāñ samajh rahe ho vo kaam mumkin nahīñ rahegā
vafā kā kāġhaz to bhiig jā.egā bad-gumānī kī bārishoñ meñ
ḳhatoñ kī bāteñ to ḳhvāb hoñgī payām mumkin nahīñ rahegā
ye ham mohabbat meñ lā-ta.alluq se ho rahe haiñ tū dekh lenā
duā.eñ to ḳhair kaun degā salām mumkin nahīñ rahegā
Top Urdushayar.com